Zindagi ke jitney darwaze hai'n mujh par band hai'n Hadd-e-nazar se aage barrh kar dekhna bhi jurm hai


Zindagi ke jitney darwaze hai'n mujh par band hai'n
Hadd-e-nazar se aage barrh kar dekhna bhi jurm hai

Apne aqeedo’n aur yaqeeno’n se nikal kar sochna bhi jurm hai

"Kyun" bhi kehna jurm hai
"kaise" bhi kehna jurm hai

Saans lene ki to aazadi muyassar hai……..magar
Zinda rehne ke liye insaan ko…….kuchh "aur" bhi darkaar hai
Aur…….is kuchh "aur" bhi ka tazkira bhi jurm hai

Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inaayat chahiye

Mujh ko in saare jarayam ki ijaazat chahiye

ijaazat chahiye


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo