Tha koi jo, tumharey pe likha kerta tha, Tha koi jo tum se mutasir tha, (Farquleet Mahmood)


I would have given up on writing poetry but my friends told me to carry on and here is now my latest let us see if it rhymes. 7.9.16

Tha koi jo, tumharey pe likha kerta tha,
Tha koi jo tum se mutasir tha,
Jis ke khialon mein tum her dam rehtey thee,
Jo tumhein haqeeqat manta tha,

Magar shaid wo tu zinda dargor ho gia,
Jab tum ne uss ko zera bhi na poocha,
Tum haqeeqat hotey hue, uss ka khial ban gae,
Tumhara intezar kertey hue, wo ik khial ban geaa,
Wo ab bhi tumhara intezaar kerta hae,
Nadaan hae wo, magar manta nahi,
Uss ko yaqeen hae tum usey jano gee,
Khawab dekhna uss ke adat hae,
Farquleet Mahmood

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo