Yun to hai parastaar zamaana tera kab se Pooja hai magar hmne tujhe aor hi dhab se


Yun to hai parastaar zamaana tera kab se...
Pooja hai magar hmne tujhe aor hi dhab se...
Us aankh ne bakhshii hai wo taaseer k ab tkk...
Milti hai hme gardish-e-dauraa'n bhi adab se...
Yaaro'n ki nigaaho'n me baseerat na thi warna...
Phootii hai kayi baar sehar daaman-e-shab se...
Wo gul jo girebaa'n me sajaaye the kisi ne...
Wo gul hue mansoob teri surkhi-e-lab se...
Palko'n pe sharar,, lab pe dua,, dil me sitaare...
Nikla hai koi yun bhi teri bazm-e-tarab se...
Ubhre bhi sada koi kisi sheher-e-sukoo'n me...
Hm muntazir-e-naghma-o-faryaad hain kab se...
Ahbaab k har tanzz pe sir kham kiya maine...
MOHSIN mujhe shikwa hai faqat khoo-e-talab se...!!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo