Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna Humain Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo Nazar Se Harf-e-Salam Likhna


کبھی کتابوں میں پھول رکھنا، کبھی درختوں پہ نام لکھنا
ہمیں بھی ہے یاد آج تک وہ نظر سے حرفِ سلام لکھنا
وہ چاند چہرے وہ بہکی باتیں، سلگتے دن تھے، سلگتی راتیں
وہ چھوٹے چھوٹے سے کاغذوں پر محبتوں کے پیام لکھنا
گلاب چہروں سے دل لگانا وہ چپکے چپکے نظر ملانا
وہ آرزؤں کے خواب بننا وہ قصہء ناتمام لکھنا
مرے نگر کی حسیں فضاؤ! کہیں جو ان کا نشان پاؤ
تو پوچھنا یہ کہاں بسے وہ، کہاں ہے ان کا قیام لکھنا
گئی رتوں میں‌حَسن ہمارا بس ایک ہی تو مشغلہ ہے
کسی کے چہرے کو صبح لکھنا کسی کی زلفوں کی شام لکھنا
(حَسن رضوی)

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna
Humain Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo Nazar Se Harf-e-Salam Likhna
Wo Chaand Chehre Wo Behki Baatein,Sulagty Din Thy,Sulagty Ratein
Wo Choty Choty Se Kaghazon Par Muhabbaton Ke Piam Likhna
Gulaab Chehron Se Dil Lagana Wo Chupky Chupky Nazar Milana
Wo Aarzoun Ke Khuwaab Ban'na Wo Qissa Na-Tamam Likhna
Mere Nagar Ke Haseen Fiza'o! Kahein Jo Unka Nishan Paa'o
To Poochna Ye Kahan Basy Wo,Kahan Hai Unka Qiyaam Likhna
Gai Ruton Mein "HASAN" Hamara Bas Aik Hi To Masha'ala Hai
Kisi Ke Chehre Ko Subah Likhna Kisi Ki Zulfon Ki Shaam Likhna
(Hasan Razvi)

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo