Shaam Se Aankh Mein Nami Sii Hai,Aaj Phir Aap Ki Kami Sii Hai


ﺷﺎﻡ ﺳﮯ ﺁﻧﮑﮫ ﻣﯿﮟ ﻧﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﺁﺝ ﭘﮭﺮ ﺁﭖ ﮐﯽ ﮐﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﺩﻓﻦ ﮐﺮﺩﻭ ﮨﻤﯿﮟ ﮐﮧ ﺳﺎﻧﺲ ﻣﻠﮯ
ﻧﺒﺾ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﺳﮯ ﺗﮭﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﮐﻮﻥ ﭘﺘﮭﺮﺍ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺑﺮﻑ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﭘﮧ ﮐﯿﻮﮞ ﺟﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﻭﻗﺖ ﺭﮨﺘﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮩﯿﮟ ﭨﮏ ﮐﺮ
ﺍﺱ ﮐﯽ ﻋﺎﺩﺕ ﺑﮭﯽ ﺁﺩﻣﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﮐﻮﺋﯽ ﺭﺷﺘﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮨﺎ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ
ﺍﯾﮏ ﺗﺴﻠﯿﻢ ﻻﺯﻣﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﺁﺋﯿﮯ ﺭﺍﺳﺘﮯ ﺍﻟﮓ ﮐﺮ ﻟﯿﮟ
ﯾﮧ ﺿﺮﻭﺭﺕ ﺑﮭﯽ ﺑﺎﮨﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ
ﮔﻠﺰﺍﺭ

Shaam Se Aankh Mein Nami Sii Hai

Aaj Phir Aap Ki Kami Sii Hai

Dafan Kar Do Humain Keh Saans Mily

Nabz Kuch Der Se Thami Sii Hai

Kon Pathra Gaya Hai Aankhon Mein

Barf Palkon Pe Kion Jami Sii Hai

Waqt Rehta Nahi Kahein Tik Kar

Iss Ki Adat Bhi Aadmi Sii Hai

Koi Reshta Nahi Raha Phir Bhi

Aik Tasleem Lazmi Sii Hai

Aayiye Rasty Alag Kar Lein

Ye Zarorat Bhi Bahmi Sii Hai

Gulzar


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai