Akhari baar milo aisay k jaltay hoye dil Rakh ho jayen, koi taqaza na karain



Akhari baar milo aisay k jaltay hoye dil

Rakh ho jayen, koi taqaza na karain

Chaak-e-wada na silay, zakham-e-tamana na khulay

Saans hamwar rahay, shama ki lo tak na hilay

Baatein bas itni k lamhay aa kar gin jayen

Aankh uthaye koi umeed tu aankhein he chin jayen

Is mulaqaat ka is baar koi weham nahi

Jis se ik aur mulaqaat ki soorat niklay

Ab na hijaan-o-junoon ka, na hikayaat ka waqt

Ab na tajdeed-e-wafa ka na shikayaat ka waqt

Lut gai shehar-e-hawadas mein mata-e-alfaz

Ab jo kehna hai tu kese koi noha kaheye

Aaj tak tum se rag-o-jaan k kai rishtay thay

Kal jo ho ga ussay kon sa rishta kaheye

Phir na dehkein gay kabhi aariz-o-rukhsar, milo

Maatmi hain dam-e-rukhsat dar-o-deewar, milo

Phir na hum hun gay, na iqraar, na inkaar milo

Aakhari baar milo

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo