Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par Kabhi Unke Dar Kabhi Da Ba Dar Gham Aashiqi Tera Shukria Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye



مجھے یاد ہے کبھی ایک تھے مگر آج ہیں ہم جدا جدا
وە جدا ہوے تو سنور گئے ہم جدا ہوے توبکھر گئے
Mujhe Yaad Hai Kabhi Aik Thay Magar Aaj Hein Juda Juda
Woh Juda Hoe Tou Sanwar Gaye Hum Juda Hoe Tou Bikhar Gaye

 
کبھی رُک گئے کبھی چل دئیے کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے
یوں ہی عمر ساری گُزار دی یوں ہی زندگی کے ستم سہے
Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chaltay Chaltay Bhatak Gaye
Yun Hi Umar Sari Guzaar Di Yun Hi Zindagi Ke Sitam Sahay

 
کبھی نیند میں کبھی ہوش میں تو جہاں ملا تجھے دیکھ کر
نہ نظر ملی نہ زباں ہلی یوں ہی سر جُھکا کے گزر گئے
Kabhi Neend Mein Kabhi Hosh Mein Tu Jahan Mila Tujhe Daikh Kar
Na Nazar Mili Na Zubaan Hili Yun Hi Sar Jhuka Ke Guzar Gaye

 
کبھی زلف پر کبھی چشم پر کبھی تیرے حسین وجود پر
جو پسند تھے میری کتاب میں وہ شعر سارے بکھر گئے
Kabhi Zulf Par Kabhi Chishm Par Kabhi Tere Haseen Wajood Par
Jo Pasand Thay Meri Kitab Mein Woh Shair Sare Bikhar Gaye

 
کبھی عرش پر کبھی فرش پر کبھی ان کے در کبھی دربدر
غم عاشقی تیرا شکریہ ہم کہاں کہاں سے گزر گئے
Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par Kabhi Unke Dar Kabhi Da Ba Dar
Gham Aashiqi Tera Shukria Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye

 
پروین شاکر
Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay