Dekhta Aur Na Theharta Tou Koi Baat Bhi Thi Jis Ne Dekha Hi Nahi Us Se Khafa Kia Hona
خیر اوروں نے بھی چاہا تو ہے تجھ سا ہونا
یہ الگ بات کہ ممکن نہیں ایسا ہونا
Khair Aoron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona
Ye Alag Baat Keh Mumkin Nahi Aisa Hona
دیکھتا اور نہ ٹھہرتا تو کوئی بات بھی تھی
جس نے دیکھا ہی نہیں اس سے خفا کیا ہونا
Dekhta Aur Na Theharta Tou Koi Baat Bhi Thi
Jis Ne Dekha Hi Nahi Us Se Khafa Kia Hona
تجھ سے دوری میں بھی خوش رہتا ہوں پہلے کی طرح
بس کسی وقت برا لگتا ہے تنہا ہونا
Tujh Se Doori Mein Bhi Khush Rehta Hoon Pehle Ki Tarah
Bas Kisi Waqt Bura Lagta Hai Tanha Hona
یوں میری یاد میں محفوظ ہیں تیرے خد و خال
جس طرح دل میں کسی شے کی تمنا ہونا
Yun Meri Yaad Mein Mahfooz Hein Tere Khad o Khaal
Jis Tarah Dil Mein Kisi Shay Ki Tamanna Hona
زندگی معرکۂ روح و بدن ہے مشتاقؔ
عشق کے ساتھ ضروری ہے ہوس کا ہونا
Zindagi Ma'arka e Rooh o Badan Hai MUSHTAQ
Ishq Ke Saath Zaroori Hai Hos Ka Hona
احمد مشتاق
Ahmad Mushtaq

Comments
Post a Comment