Phir ek cigrit jala raha hon Phir ek teeli bujha raha hon

 

Phir ek cigrit jala raha hon

Phir ek teeli bujha raha hon

Teri nazar mein ye mashghla hai

Mian to tera wada bhula raha hon

Samjhna mat is ko meri aadat

Main to bas dhowan ura raha hon

Ye teri yadon k silsile hain

Main teri yadain jala raha hon

Main pee k itna behak chuka hon

K gham k qisse suna raha hon

Agar tumhain bhi gham hai to pas aao

Main pee raha hon aur pila raha hon

Hain meri aankhain to aaj nam

Magar main sab ko hansa raha hon

Kho kar apni zindagi mein

Apne beinteha pyar ko bhula raha hon

Ek cigrit ki shama k bahane

Mai apna aap jala raha hon

Phir ek cigrit

Phir ek teeli

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo