Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

 

Poet Meer Taqi Meer

 

Faqeera Na Aaye Sada Kar Chale,

Miyan Khush Raho Hum Dua Kar Chale,

Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kehte Thay Hum,

So Is Ehd Ko Ab Wafa Kar Chale,

Koi Na Umeedana Karte Nigha,

So Tum Hum Se Moonh Bhi Chupa Kar Chale,

Bahut Aarzo Thi Gali Ki Teri,

So Yahan Se Laho Mein Naha Kar Chale,

Dekhai Diye Youn K Be Khud Kia,

Humain Aap Se Bhi Juda Kar Chale,

Jabeen Sajda Karte Hi Karte Gay,

Haq-e-bandgi Hum Ada Kar Chale,

Prastish Ki Yahan Taeen Ki Abhi But Tujhe,

Nazar Mein Sabhon Ki Khuda Kar Chale,

Gai Umar Dar Band-E-Fikr-E-Ghazal,

So Is Fan Ko Aisa Bara Kar Chale,

Kahein Kia Jo Pooche Koi Hum Se, MEER

Jahan Mein Tum Aaye Thay Kia Kar Chale.......................!




No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo