Hum Ne Suna Tha Sehan-E-Chaman Mein Kaif K Badal Chaye Hain

 

Poet: Habeeb Jalib

 

Hum Ne Suna Tha Sehan-E-Chaman Mein Kaif K Badal Chaye Hain.*'

Hum Bhi Gaye Thay Jee Behlane Ashk Baha Kar Aaye Hain.*'

Phool Khile To Dill Murjhaye Shama Jalaye To Jaan Jaye,

Aik Tumhara Gham Apna Kar Kitne Gham Apnaye Hain.*'

Aik Sulagti Yaad Chamakta Dard Farozaa Tanhai,

Poch Na Us K Shehar Se Hum Kia Kia Laaye Hain.*'

Aaj Bhi Souraj Dhoob Gaya Hai Noor Uffaq K Sagar Main,

Aaj Bhi Phool Chaman Main Tujh Ko Bin Daikhe Murjhaye Hain.*'

Aik Qismat Ka Sannata Aik Bala K Tanhai,

Un Ki Galiyon Se Door Na Hansta Chaand Na Roshan Saaye Hain.*'

Pyaar Ki Booli Bool Na JALIB Us Basti K Logon Se,

Hum Ne Sukh Ki Kaliyan Kho Kar Dukh K Kaante Paye Hain..............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo