Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko

 

Poet Qamar Jalabadi

 

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko

Na Jane Kaise Khabar Ho Gai Zamane Ko,

Suna Hai Ghair Ki Mehfil Mein Tum Na Jao Gay,

Kaho To Aaj Saja Lon Ghareeb Khane Ko,

Dua Bahaar Ki Mangi To Itane Phool Khile,

Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiane Ko,

Chaman Mein Jana To Shayad Dekh Kar Jana,

Akele Chor Kar Aaya Hon Aashiane Ko,

Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai,

Hazoor Shama Na Laya Karain Jalane Ko,

Daba K Qabra Mein Sab Chal Diye Dua Na Salam,

Zara Si Deir Mein Kia Ho Gia Zamane Ko,

Ab Aage Is Mein Tumhara Bhi Naam Aaye Ga,

Jo Hukm Ho To Yehi Chor Don Fasane Ko,

Qamar Zara Bhi Nahi Tum Ko Khof-e-Rusvai,

K Chandani Pe Chale Ho Unhain Manane Ko.............!

 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo