Apni Beeti Hoi
Rangeen Jawani De Ga

 

Poet Darab Baano Wafa (Bharat) 

 

Apni Beeti Hoi

Rangeen Jawani De Ga

Mujh Ko Tasver Bhi De Ga Tu Puraani De Ga

Aadtein Millti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Us Ki

Waqt-e-RukhstBhi Wo Ek Shaam Suhaani De Ga

Mere Maathe Ki Lakeeroon Mein Azaafa Kar K

Wo Bhi Maazi Ki Tarha Apni Nishaani De Ga

Baraf Hojaega Jab Mere Lahoo Ka Dariyaa

Tab Kahin Ja K Wo Mojoon Ko Rawaani De Ga

Meine Ye Soch K Boye Nahi Khuwaboon K Darkhat

Koon Jhangal Mein Lage Perrh Ko Pani De Ga.

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo