Gul-e-Zaban Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai

 

===================

SARDION KA MOSAM

===================

 

Poet Wasi Shah 

 

Gul-e-Zaban Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Darkhat Par Jo Kabhi Choorion Se Dala Tha,

Us Ek Nishaan Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Ye Aik Hum Kai Nai Bolian Sada Bolain,

Teri Zaban Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Sulag Rahi Hain Dahan Mein Qabain Lafzon Ki,

Magar Zaban Pe Vohi Sardion Ka Mosam Hai,

Tumhare Aane Pe Soraj K Hath Chamkain Gay,

Mere Makaan Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Har Aik Simat Pigalne Lage Hain Sanate,

Tere Bayan Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hain,

Jahan Jahan Teri Khushbo K Rang Bikhre Hain,

Wahan Wahan Pe Vohi Sardion Ka Mosam Hai,

Teri Judai K Pal Se Hova Hai Ishq Hanoot,

K Is Jahan Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Wo "HAAN" Kare Gi Baharon Mein Us Ka Wada Tha,

Us Aik "HAAN" Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Wo Mujh Ko Sonp Gia Furqatain December Mein,

Darkhat-3-Jaan Pe Wohi Sardion Ka Mosam Hai,

Humare Lab To Duain Jalaye Rakhte Hain,

Par Aasman Pe Wohi Sardion Ka Mosam...

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo