Guzre Hain Tere Bad Bhi Kuch Lo Idhar Se

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Guzre Hain Tere Bad Bhi Kuch Lo Idhar Se,

Lekin Teri Khusbo Na Gai Raah Guzar Se,

Kion Doobti Bujhti Hoi Aankhon Mein Hai Roshan,

Raton Ko Shikayat Hai To Itni Hai Sahar Se,

Larza Tha Badan Us Ka Mere Hath Se Choo Kar,

dekha Tha Mujhe Us Ne Ajab Mast Nazar Se,

Kia Thaan K Nikla Tha Kahan Aa K Para Hai,

Poche To Koi Is Dil-E-Sharminda Safar Se,

Aaya Hai Bahut Deir Mein Wo Shakhs Par Us Ko,

Jazbat Ki Is Bheer Mein Dekhon Main Kidhar Se,

Hum Rizq-E-Guzar Gaah To Khashaak Thay Lekin,

Wo Log Jo Nikle Thay Hawa Dekh K Ghar Se!

Aisa To Nahi Meri Tarha Saroo-E-Lab-Joo!

Qadmon Pe Khara Ho Kisi Uftad Se Dar Se,

Din Thay Humain Shehr-E-Badan Tak Ki Khabar Thi,

Aur Ab Nahi Agah Teri Khair Khabar Se,

AMJID Na Qadam Rok K Wo Door Ki Manzal,

Nikle Gi Kisi Roz Isi Gard-e-Safar Se...........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo