Hijar Jari Hai Aur Jeevan Hai

 

Poet Farhat Abbas Shah 

 

Hijar Jari Hai Aur Jeevan Hai,

Beqarari Hai Aur Jeewan Hai,

Khawahishon K Ajeeb Mosam Mein,

Aah-o-Zaari Hai Aur Jeewan Hai,

Mustaqil Taigh Raigani Ki

Zarb Kaari Hai Aur Jeewan Hai,

Dard Ne Motabar Kia Mujh Ko,

Burd Baari Hai Aur Jeewan Hai,

Ishq K Samne Mere Dil Ki

Inkasari Hai Aur Jeewan Hai,

Ek Ek Pal Howa Giran Mujh Par,

Sans Jari Hai Aur Jeewan Hai,

Halaat Ab Apni Ek Muddat Se,

Iztarari Hai Aur Jeevan Hai...................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo