Hazrat-E-Dil Aap Hain Jis Dhian Mein Mar Gaye Lakhon

 

 

 

Poet Nawab Mirza Khan Dagh Dehlvi 

 

Hazrat-E-Dil Aap Hain Jis Dhian Mein,

Mar Gaye Lakhon Is Arman Mein,

Ishq Jis Kashti Ka Ho To Na Khuda,

Wo Na Aaye Kis Tarha Tufan Mein,

Us Se Poocho Tum Meri Aashuftagi,

Zulf Keh De Gi Tumhare Kaan Mein,

Mere Marne Ki Khabr Sun Kar Kaha,

Waqiye Kuch Bhi Nahi Insan Mein,

Dil Ki Qeemat Ek Nigah Hai Aaye Sanam,

Aage Jo Aaye Tere Eman Mein,

Jis Ne Khoya Usi Ko Kuch Mila,

Feda Dekha Isi Nuqsan Main,

Ljiye! Deta Hon Main Dil K Siva,

Aur Jo Kuch Hai Mere Imkan Mein,

Kis Ne Milne Ka Wada Kia K Dagh,

Aaj Ho Tum Aur Hi Samaan Mein...

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo