Jab Soraj Doobe Sanjh Bhiye Aur Phail Raha Andhiara Ho



Poet Ibn-E-Insha
Jab Soraj Doobe Sanjh Bhiye,
Aur Phail Raha Andhiara Ho,
Kisi Saz Ki Laye Par Jhanan Jhanan,
Kisi Geet Ka Mukhra Jaga Ho,
Is Taal Pe Nachte Pairon Mein,
Ek Chup Chup Behti Nadian Ho,
Ho Charon Kot Sugnadh Basi,
Jion Jangal Pehna Gajra Ho,
Ye Ambar K Mukh Ka Aanchal,
Is Aanchal Ka Rang Ooda Ho,
Ek Got Ro Pehle Taron Ki,
Aur Beech Sunehra Chanda Ho,
Is Sundar Sheetal Shant Samay,
Han Bolo Bolo Phir Kia Ho?
Wo Jis Ka Milna Na Mumkin,
Wo Mil Jaye To Kaisa Ho...........?
Book
Is Basti K Ek Kooche Mein

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo