Too Husn-E-Lala Faam Hai Sharab Se Bhara

 

 

Poet: Ayaz Khan

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Too Husn-E-Lala Faam Hai.

Sharab Se Bhara Jaam Hai.

Teri Dil-Kashi K Charche Bare.

Teri Shohrat Sar-E-Aam Hai.

Teri MehaK Char So Mile.

Jaise Rah Se Guzra Koi Gulfam Hai.

To Mujh Pe Taras Kha Aye Haseena.

Hosh Urrane K Siwa Koi Kaam Hai.

Tere Tazkare Har Zubaan Pe Mile.

Teri Guftago Subh-O-Shaam Hai.

Aye Haseena Ek Nazar Daal idhar.

Mujhe Tujh Se Aik Kaam Hai.

Too Ne Dil Loota itna To Bata Ja.

Kahan Se Aai Tera Kia Naam Hai.......!

 

2 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo