Zulfon Ki Ghatain Pee Jao Wo Jo Bhi Pelain Pee Jao

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Zulfon Ki Ghatain Pee Jao.

Wo Jo Bhi Pelain Pee Jao.

Aaye Tishna Dhan-E-Joor-E-Khizan.

Pholoon Ki Adaain Pee Jaoo.

Tareeki Duraan K Maro.

Subhon Ki Ziaain Pee Jaoo.

Naghmat Ka Rass Bhi Nasha Hai.

Barbt Ki Sadaain Pee Jaoo.

Makhmoor Sharabon K Badle.

Rangeen Khatain Pee Jaoo.

Ashkon Ka Machalna Thek Nahi.

Be Cheen Duaain Pee Jaoo.

Ehsaas K Toote SAGHAR.

Yaron Ki Wafaain Pee Jaoo.......!


Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 252

Ghazal: 250

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo