Nazar-E-Bahar Khon-E-Jigar Kar Rahe Hain Hum

 

 

Poet Basheer Farooq

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Nazar-E-Bahar Khon-E-Jigar Kar Rahe Hain Hum.

Qatre Laho K Lal-0-Guhar Kar Rahe Hain Hum.

Kanton Ko Day Rahe Hain Gulabon Ka Rang-O-Roop.

Zaron Ko Rashk-E-Shams-O-Qamer Kar Rahe Hain Hum.

In Ki Nigah Mein Bhi Nahi Hum Wafa Parast.

Jain Par Nisar Qalb-O-Nazar Kar Rahe Hain Hum.

Yaran-E-Teez-Gam To Punche Hain Chand Par.

Khawabon Ki Wadion Mein Safr Kar Rahe Hain Hum.

Zulmat Kadon Ko Day K Sitaron Ki Chashni.

FAROOQ Raton Ko Aashnaye Sahar Kar Rahe Hain Hum.....!

Book: Boo e Gul

Page: 63

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo