Phir Wafaon K Nagar Mein Hadsay Hone Lage

 

 

 

Poet Zaheer Ahmad Zaheer 

 

Phir Wafaon Ke Nagar Mein Hadsay Hone Lagay.

Log Aulfat Ke Bajaye Nafraten Bony Lagay.

Jane Kia Kia Khwab Mein Dekha Unhon Ne Raat Bhar.

Neend Se Jaagay To Sab Dil Khol Kar Rony Lagay.

Kia Sitam Hai Dosto! Es Gham Ki Kaali Raat Mein.

Jin Ko Tha Bedaar Hona Ab Wo Hi Sony Lagay.

Bol Authy Ga Kisi Ke Haath Par Mera Lahoo.

Aanso'n Se Apna Daman Aap Kiun Dhony Lagay.

Waqat Ke Es Lamha_e_Safak Ko Kia Naam Doon.

Jab Zarurat Zindagi Ki Aabro Khone Lagay.

Dil Ke Aaine Mein Jab Bhi Ghor Se Dekha "ZAHEER"

Khud Shanasi Ke Hazaron Raaz Daa Hone Lagay.

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo