Ghairon Pe Khul Na Jaye Kahein Raz Dekhna

 

 

Poet Momin Khan Momin 

 

Ghairon Pe Khul Na Jaye Kahein Raz Dekhna,

Meri Taraf Bhi Ghamza-E Ghamaz Dekhna,

Urhte Hi Rang-E-Rukh Mera Nazron Se Tha Nihaan,

Is Murgh-E-Par Shikasta Ki Parwaz Dekhna,

Dushnam-E-Yar Taba-E- Hazeen Pe Giraan Nahi,

Aye Hum Nafas Nazakat-E-Aawaz Dekhna,

Dekh Apna Haal Raaz-E-Manjam Howa Raqeeb,

Tha Saaz Gaar Taleeh-E- Na Saaz Dekhna,

Kushta Hon Us Ki Chashm-E-Fasoon Gar Ka Aye Maseeh,

Karna Samjh K Dawaa-E-Ijaz Dekhna,

Tark-E-Jahanum Bhi Kam Nahi Sooz-E-Hajeem Se,

MOMIN

Gham-E-Mal Ka Aaghaz Dekhna..............! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo