Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqadar Sakht Tar Nikla

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Sambhala Hosh Hai Jab Se

Muqadar Sakht Tar Nikla,

Para Hai Wasta Jis Se

Wohi Zair-O-Zabar Nikla,

Sabaq Deta Raha Mujh ko

Sada Roshan Khayali Ka,

Usay Jab Paas Se Dekha

To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,

Samajh Kar Zindagi Jis Se

Mohabbat Kar Rahe Thay Hum,

Usay Jab Choo K Dekha To

Faqat Khaki Bashar Nikla,

Mohabbat Ka Nasha Utra

To Tab Sabit Howa Mujh Ko,

FARAZ

Jise Manzal Samajhte Thay

Wo Be Maqsad Safar Nikla................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo