Gaon K Be Charagh Raste Mein Maili Chadar Bicha K Matti Par

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Gaon K Be Charagh Raste Mein,

Maili Chadar Bicha K Matti Par,

Jo Andhe Udas Dil Wali,

Aik Pagli Dekhai Deti Hai,

Jis Ki Belafz Guftago Aksar,

Baam-O-Dar Ko Sunai Deti Hai,

Jis Ki Aankhon Mein Rat Dhalti Hai,

Jis Ki Shah Rag K Bhujte Mosam Mein,

Zindagi Ki Tabash Pigalti Hai,

Jam Gaye Jis K Khawab Chehre Par,

Kanpte Hath Jin K Saye Se,

Aakhir Shab Dua Larazti Hai,

Jis Ki Ukhri Ukhrti Saanso Se,

Roz-O-Shab K Bhanwar Garezan Hain,

Ye Jo Bisri Hoi Kahani Hai,

Bhook Jis K Liye Ghiza Jaisi,

Jis K Nazdeek Piyas Pani Hai,

Us Ko Ibrat Se Dekhne Walo,

Us K Bare Mein Apne Gaon K,

Dastaan Go Bazurg Kehte Hain,

Ye Akeli Udas Banjaran,!

Ab Se Aadhi Sadi K Us Janib,

Roop Mein Dhoop Bhi Ujli Thi,

Phool Khilte Thay Is K Aangan Mein,

Khushbo'on Se Kharaj Leti Thi,

Ab Se Aadhi Sadi K Us Janib,

Ye Akeli Udas Panjaran,!

Apne Gaon K Apisraon Mein,

Khoob Sorat Tareen Larki Thi............!

 

Page 77 To 78 (R) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo