Hum Jab Bhi Tanha Ghar Gaye Saaye Se Apne Dar Gaye

 

 

Poetess Maah Rukh Zaidi 

 

Hum Jab Bhi Tanha Ghar Gaye Saaye Se Apne Dar Gaye,

Teri Judai Se Sanam Hum Jeete Jee Mar Gaye,

Sunte Hi Zikr Karbala

Aankhon Mein Aanso Bhar Gaye,

Na Pyar Hum ko Mil Saka

Kaasa Liye Dar Dar Gaye,

Rah-e-Khuda Mein Mar Mite Par Nam Roshan Kar Gaye,

Sajde Kiye Thay Khak Par

Aur Aasman Tak Sar Gaye,

Khali Tha Daman MAAH RUKH,

Jab Hum Sar-E-Mehshar Gaye...........!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo