Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Nisab Mein

 

Poet Adeem Hashmi



Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Nisab Mein.

Titli Mili Hanoot Purani Kitab Mein.

Dekhon Ga Kis Tarah Se Kisi Ko Azaab Mein.

Sab K Gunah Daal De Mere Hisab Mein.

Phir Bewafa Ko Behir-e-Mohabbat Samajh Lia.

Phir Dil Ki Naao Doob Gai Hai Saraab Mein.

Pehle Gulaab Us Mein Dikhai Diya Mujhe.

Ab Wo Mujhe Dikhai Diya Hai Gulaab Mein.

Wo Rang-e-Aatasheen, Wo Dehakta Howa Shabaab.

Chehre Ne Jaise Aag Laga Di Naqaab Mein.

Barish Ne Apne Aks Kaheen Dekhna Na Ho.

Kion Aaine Ubharne Lage Hain Habaab Mein.

Gardish Ki Taiziyon Ne Use Noor Kar Dia.

Matti Chamak Rahi Hai Yehi Aftaab Mein.

Us Sangdil Ko Mein Ne Pukara To Tha ADEEM.

Apni Sada Hi Lout Kar Aaiem Jawaab Mein.......


================
Nomi Collection
================

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo