Zindagi Mehboob Aisi Deeda-E-Qudrat Mein Hai

 

Poet Allama IQBAL 

 

Zindagi Mehboob Aisi Deeda-E-Qudrat Mein Hai,

Zoq_E_Hifz_E_Zindagi

Har Cheez Ki Fitrat

Mein Hai,

Moat K Hathoon Se

Mit Sakta Agar

Naqsh_E_Hayaat,

Aam Yoon Es Ko Na

Kar Daita

Nizaam_E_Kaainaat,

Hai Agar Arzaan To

Ye Samjho Ajal Kuch

Bhi Nahi,

Jis Tarha Sone Se

Jeene Mein Khalal

Kuch Bhi Nahi,

Aah! Ghaafil! Moat Ka

Raaz_E_Nihaan Kuch

Or Hai,

Naqsh Ki Napa'edaari

Se Ayaan Kuch Or Hai,

Jannat_E_Nizaara Hai

Naqsh_E_Hawa

Baalaay_E_Aab,

Moj_E_Maztar Torr Kar

Taameer Karti Hai

Habaab,

Moj K Daaman Mein

Phir Us Ko Chhupa

Daiti Hai Ye,

Kitni Be Dardi Se

Naqsh Apna Mita Deti

Hai Ye,

Phir Na Kar Sakti

Habaab Apna Agar

Peda Hawa,

Torrne Mein Es K Yun

Hoti Na Be Parwaah

Hawa,

Es Roshan Ka Kiya

Asar Hee'at_E_Tameer

Par,

Ye To Hijat Hai Hawa

Ki Quwat_E_Taameer

Par.................?

Book Bang E Dara

Page 180

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo