Hazoor-E-Husn Kise Taqat-e-Sawal-O-Jawab


Hazoor-E-Husn Kise Taqat-e-Sawal-O-Jawab

Tere Karam Ne Mere Hosle Barhe Hain

 

Kitna Dil Kash Tha Wo Aghaz-E-Mohabbat Ka Sawal

Shidat-E-Sharam Se Jab Teri Nazar Sharmai

 

Too Ne Ungli Pe Siyah Kon K Lab Pe Ki Jis Dam

Khud Ba Khud Jab Tere Honton Pe Hansi Lehraye

 

Aur Chasm-E-Purnam Khareed Sakta Hon

Zulf-E-Barham Khareed Sakta Hon

 

Aur Meri Khushian Kai Bar Bik Jain

Tere Sab Ghum Khareed Sakta Hon

 

Un Ki Makhmoor Nigahon K Karishmen Toba

Pakbazon Ko Bhi Maykhawar Bana Dete Hain

 

Aur Paye Ba Paye Zulm-O- Sitam Rah-E-Mohabbat Mein Qamar

Ek Insan Ko Fankar Bana Dete Hain..!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo