Gulaab Aankhain Sharab Aankhain, Yehi To Hain Lajawab Aankhain


Gulaab Aankhain Sharab Aankhain,

Yehi To Hain Lajawab Aankhain,

Inhi Mein Ulfat,

Inhi Me Nafrat,

Sawab Aankhain,

Azab Aankhain,

Kabhi Nazar Mein Bala Ki Shokhi,

Kabhi Sarapa Hijab Aankhain,

Kabhi Chupati Hain Raz Dil K,

Kabhi Hain Dil Ki Kitab Aankhain,

Kisi Ne Dekhi To Jheel Jaisi,

Kisi Ne Pain Sarab Aankhain,

Wo Aaye To Log Mujh Se Bole,

Hazoor Aankhain Janab Aankhain,

Ajeeb Tha Guftago Ka Aalam,

Sawal Koi Jawab Aankhain,

Ye Mast Mast Bemisal Ankhain,

Nashe Se Har Dam Nidhal Ankhain,

Uthein To Hosh-o-Hawas Cheenein,

Girein To Kar Dein Kamal Aankhein,

Koi Hai In K Karam Ka Talib,

Kisi Ka Shook-e-Wisal Aankhain..!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo