Suna Hai Wo Pari Paikar Yad Karta Hai Mujh Ko Youn Aksar

Poet Dagh Dehlvi
Suna Hai Wo Pari Paikar
Yad Karta Hai Mujh Ko Youn Aksar
Meri Tasveer Rakh K Pesh-E-Nazar
Kosna Cheirna Ye Keh Keh Kar
Is Dhatai Se To Idhar Dekhe,
Aankhain Phootein Humain Agar Dekhe,
Kis Tarha Ghoorta Hai Bale Shareer,
Aankhain Phootein Humain Agar Dekhe,
To Sahi Rat Din Rulaon Tujhe,
Dekhne Ka Maza Chakhaon Tujhe,
Aisi Sorat Pe Ye Demagh Tera,
Khoob Rakh Hai Naam Dagh Tera,
Husn Hota Hai Hasil Tasveer,
Rosia To Hai Qabil Tasveer,
Shakal Manhoos Kion Nazar Aaye?
Mool Le Kar Bhi Hum To Pachtaye,
Aisi Tasveer Kis Ko Bhati Hai,
Par Bala Hansi To Aati Hai,
Tujh Se Ronag Nahi Ghar K Liye,
Rakh Lia Hai Nazar Guzar K Liye,
Na Ho Kuch Is Se Ronaq Tameer,
Aur Dhaba Lagaye Ye Tasveer,
To Hai Ranj-O-Malaal Mein Kas K,
Chup Lagi Hai Khayal Mein Kas K,
Kion Hai Khamosh Lab To Khol Zara,
Wo Bare Bol Ab To Bol Zara,
LAN TAARAANI Kahan Gai Teri,
Khush Bayani Kahan Gai Teri,
Aarzoo Wisal Keh To Sahi,
Kia Howa Tera Haal Keh To Sahi,
Jhoot Sach Hum Ko Azmana Hai,
Ishq Hai Ya Faqt Bahana Hai,
Tere Moonh Mein Zaban Hai K Nahi,
Tujh Mein Kam Bakht Jan Hai K Nahi,
Kon Sa Tha Wo Aaina-E-Rukhsar,
Tujh Ko Sakte Ka De Gia Aazar,
Aaina Tere Moonh Pe Rehta Hai,
Is Se Kia Apna Haal Kehta Hai,
Daam De Kar Tujhe Khareeda Hai,
Tujh Har Tarha Apna Dawa Hai,
Han Zulekha Mujhe Na Tehrana,
Ban K Yousaf Kahein Na Itrana,
Baal Bandha Mera Ghulam Hai Too,
Usi Ba'as Se Neik Naam Hai Too,
Taair Rang Urr K Chal Na Sake,
Teri Hasrat Kabhi Nikal Na Sake,
Bhag Kar Bewafa Na Ho Jana,
Mahaz Na Aashna Na Ho Jana,
Na Kahein Gay Soorat Achai Hai,
Haan Magar Tabiat Achi Hai,
Teri Tasveer Ka Bahana Hai,
Tera Khaka Bahut Urana Hai,
Pehle To Is Ko Chaak Chaak Karon,
Aur Phir Main Jala Kar Khak Karon,
Ki Tasveer La Jawab Nahi,
Sao Sune Aik Ka Jawab Nahi,
In Ki Saveer Par Nazar Har Dam,
Mujh Ko Taqdeer Par Nazar Har Dam................! 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo