Jeevan Khel Nahi Jana, Aag Aur Pani Phool Aur Shabnam, Dharti Aur Neel Gagan Ka Koi Mail Nahi Jana,

Poet Amjid Islam Amjid

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Jeevan Khel Nahi Jana,

Aag Aur Pani Phool Aur Shabnam,

Dharti Aur Neel Gagan Ka Koi Mail Nahi Jana,

Jeevan Khawaab Nahi Jana,

Hum Ko Bhi Maloom Hai Lekin,

Ab Is Gham Ko Seh Jane Ki Dil Mein Taab Nahi Jana,

Jeevan Rog Nahi Jana,

Lekin Wo Jo Marham Ban Kar Har Ik Zakham,

Sila Deta The Ab Wo Log Nahi Jana,

Jeevan Sham Nahi Jana,

Sooraj Se Majboor Ho Tum Bhi Shaid,

Simat Badal Lene Par Ye Ilzam Nahi Jana,

Jeevan Aag Nahi Jana,

Apni Sundar Taaki Lao Mein,

Apne Aap Hi Jal Jate Hain Jin K Bhag Nahi Jana,

Jeevan Dhool Nahi Jana,

Tez Hawa Ki Aahat Sun Kar,

Shak Se Apni Katt Jaye Aisa Phool Nahi Jana,

Jeevan Khel Nahi Jana...................!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo