Poet:Saghar Nizaami (Hindustan)
Dasht Mein Qais Nahi,Koh Pe Farhad Nahi
Hai Wahi Ishq Ki Dunya Magar Abaad Nahi
Dhoondne Ko Tujhe O Mere Na Milne Wale
Wo Chala Hai,Jise Apna Bhi Pata Yaad Nahi
Rooh-e-Bulbul Ne Khizaan Ban Ke Ujaarra Gulshan
Phool Kehtay Rahe,Hum Phool Hain Sayaad Nahi
Husn Se Chouk Hoi Iss Ki Hai Tareekh Gawahh
Ishq Se Bhool Hoi Ho Ye Mujhe Yaad Nahi
Barbat-e-Maah Pe Mezraab-e-Fughaan Rakh Di Thi
Main Ne Naghma Sunaya Tha,Tumhein Yaad Nahi
Laao Ik Sajda Karon Aalam-e-Bad Masti Mein
Log Kehtay Hain Keh Saghar Ko Khuda Yaad Nahi
ﺳﺎﻏﺮ ﻧﻈﺎﻣﯽ
ﺩﺷﺖ ﻣﯿﮟ ﻗﯿﺲ ﻧﮩﯿﮟ، ﮐﻮﮦ ﭘﮧ ﻓﺮﮨﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﮨﮯ ﻭﮨﯽ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﮕﺮ ﺁﺑﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﮈﮬﻮﻧﮉﻧﮯ ﮐﻮ ﺗﺠﮭﮯ ﺍﻭ ﻣﯿﺮﮮ ﻧﮧ ﻣﻠﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ
ﻭﮦ ﭼﻼ ﮨﮯ، ﺟﺴﮯ ﺍﭘﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﺘﮧ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﺭﻭﺡِ ﺑﻠﺒﻞ ﻧﮯ ﺧﺰﺍﮞ ﺑﻦ ﮐﮯ ﺍﺟﺎﮌﺍ ﮔﻠﺸﻦ
ﭘﮭﻮﻝ ﮐﮩﺘﮯ ﺭﮨﮯ، ﮨﻢ ﭘﮭﻮﻝ ﮨﯿﮟ ﺻﯿﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﺣﺴﻦ ﺳﮯ ﭼﻮﮎ ﮨﻮﺋﯽ ﺍﺱ ﮐﯽ ﮨﮯ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﮔﻮﺍﮦ
ﻋﺸﻖ ﺳﮯ ﺑﮭﻮﻝ ﮨﻮﺋﯽ ﮨﻮ، ﯾﮧ ﻣﺠﮭﮯ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﺑﺮﺑﻂِ ﻣﺎﮦ ﭘﮧ ﻣﻀﺮﺍﺏِ ﻓﻐﺎﮞ ﺭﮐﮫ ﺩﯼ ﺗﮭﯽ
ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﻧﻐﻤﮧ ﺳﻨﺎﯾﺎ ﺗﮭﺎ، ﺗﻤﮩﯿﮟ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
ﻻﺅ ﺍﮎ ﺳﺠﺪﮦ ﮐﺮﻭﮞ ﻋﺎﻟﻢِ ﺑﺪﻣﺴﺘﯽ ﻣﯿﮟ
ﻟﻮﮒ ﮐﮩﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﺳﺎﻏﺮ ﮐﻮ ﺧﺪﺍ ﯾﺎﺩ ﻧﮩﯿﮟ
Comments
Post a Comment