Dil Ka Kia Hai Wo To Chahe Ga Musalsal Milna,Wo Sitamgar Bhi Magar Sochay Kisi Pal Milna

 

دل کا کیا ہے وہ تو چاہے گا مسلسل مِلنا
وہ ستم گر بھی مگر سوچے کسی پَل مِلنا

واں نہیں وقت تو ہم بھی ہیں عدیم الفرصت
اُس سے کیا ملیے جوہر روز کہے، کل مِلنا

عشق کی رہ کے مسافر کا مقدرمعلوم
شہر کی سوچ میں ہو اور اُسے جنگل ملنا

اُس کا مِلنا ہے عجب طرح کا مِلنا جیسے
دشتِ اُمید میں اندیشے کا بادل مِلنا

دامنِ شب کو اگر چاک بھی کر لیں تو کہاں
نُور میں ڈوبا ہوا صبح کا آنچل مِلنا

 

Dil Ka Kia Hai Wo To Chahe Ga Musalsal Milna,

Wo Sitamgar Bhi Magar Sochay Kisi Pal Milna,

Waan Nahi Waqt To Hum Bhi Hain Adeem-ul-Fursat,

Us Se Kia Miliye Jo Har Roz Kahe Kal Milna,

Ishq Ki Rah Ke Musafir Ka Muqadar Maloom,

Sheher Ki Soch Main Ho Aur Usay Jangal Milna,

Us Ka Milna Hai Ajab Tarah Ka Milna Jaise,

Dasht-e-Umeed Mein Andesha Ka Badal Milna,

Daman-e-Shab Ko Agar Chaak Bhi Kar Len To Kahan,

Noor Mein Dooba Howa Subah Ka Aanchal Milna....!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo