Gham Hai Ya Khushi Hai Too, Meri Zindagi Hai Too, Aaftoon K Dor Mein, Chen Ki Gharri Hai Too,

شاعر
ناصر کاظمی
بوک دیوان صفحہ 137
30/06/71

انتخاب اجڑا دل

غم ہے یا خوشی ہے تو
میری زندگی ہے تو

آفتوں کے دور میں
چین کی گھڑی ہے تو

میری رات کا چراغ
میری ننید بھی ہے تو

میں خزاں کی شام ہوں
رت بہار کی ہے تو

دوستوں کے درمیاں
وجہ دوستی ہے تو

میری ساری عمر میں
ایک ہی کمی ہے تو
میں تو وہ نہیں رہا
ہاں مگر وہی ہے تو

ناصر اس دیار میں
کتنا اجنبی ہے تو

Poet Nasir Kazmi
Book Deevan
Page 137
30/06/1971

Type

 By
*_UJRRA_DIL_*

Gham Hai Ya Khushi Hai Too,

Meri Zindagi Hai Too,

Aaftoon K Dor Mein,

Chen Ki Gharri Hai Too,

Meri Raat Ka Charagh,

Meri Neend Bhi Hai Too,

Main Khazaan Ki Sham Hoon,

Rut Bahaar Ki Hai Too,

Dostoon K Darmiyan,

Wajah Dosti Hai Too,

Meri Sari Umer Mein,

Aik Hi Kami Hai Too,

Main To Wo Nahi Raha,

Haan Magr Wohi Hai Too,

Nasir Is Diyaar Mein,

Kitna Ajnabi Hai Too...........*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo