Kabhi Bache The To Sunte The Aakas Bail Tanaawar Darkhat Ko Jakarr Le


آکاس بیل

شاعرہ نجمہ شاہین کھوسہ
بوک میں آنکھیں بند رکھتی ہوں صفحہ 64

انتخاب اجڑا دل

کبھی بچے تھے تو سنتے تھے
آکاس بیل تناور درخت کو جکڑ لے
تو اس کی طاقت اس کے حسن کو
اپنی بانہیں پھیلا کر ختم کر دیتی ہے
تب پہروں بیٹھ کے سوچا کرتی تھی
آکاس بیل ہوتی ہے کیا؟
جب عشق و ہجر کے دکھ نے
من کے تناور شجر کو گھیرا تو
تب معلوم ہوا
آکاس بیل ہوتی ہے کیا؟
آکاس بیل کی معنی ہے کیا.....؟

Poetess Najma Shaheen Khosa

Book Main Aankhein Band Rakhti Hoon Page 64

Type
By
*_UJRRA_DIL_*

Aakas Bail

Kabhi Bache The To Sunte The

Aakas Bail Tanaawar Darkhat Ko Jakarr Le

To Us Ki Taqat Us K Husan Ko

Apni Baahein Phela Kar Khatam Kar Deti Hai

Tab Pehroon Beth K Socha Karti Thi

Aakas Bail Hoti Hai Kaya ?

Jab Ishq-O-Hijar K Dukh Ne

Man K Tanawar Darkhat Ko Ghera To

Tab Maaloom Huwa

Aakas Bail Hoti Hai Kaya?

Aakas Bail Ki Mana Hai Kaya...............?

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo