Yaadoon Ki Kashtiyan Chalti Hai, Ashkoon K Pani Mein, Kesi Ye Saza Paai Hai ? Ik Chhoti Si Nadani Mein,

شاعرہ
عروسہ ایمان

یادوں کی کشتیاں چلتی ہے اشکوں کے پانی میں
کیسی سزا پائی ہے اک چھوٹی سی نادانی میں

کیا آنکھ لڑی اس دل کے دلبر سے
اک نیا موڑ آیا میری کہانی میں

دل کا چین گیا من کا سکون گیا
دکھ درد پایا دل کی نکل مکانی میں

نا کنگن ہیں نا چوڑیاں ہیں
سونی ہو گئی کلائی بھری جوانی میں

وہ اک لڑکی جو ایمان تھی مصال اپنی کبھی
ٹوٹ کے بکھری آج کسی کی بے ایمانی میں

Poetess Uroosa Emaan

Yaadoon Ki Kashtiyan Chalti Hai,
Ashkoon K Pani Mein,

Kesi Ye Saza Paai Hai ?
Ik Chhoti Si Nadani Mein,

Kaya Aakh Larri Us Dil K Dilbar Se,

Ik Naya Muarr Aaya Meri Kahani Mein,

Dil Ka Chen Gaya
Man Ka Sakoon Gaya,

Dukh Dard Paye Hain
Dil Ki Nakal Makaani Mein,

Na Kangan Hain Na Choorriyan Hain,

Sooni Ho Gai Kalaai Bhari Jawaani Mein,

Wo Ik Larrki Jo Emaan Thi Missal Apni Kabhi,

Toot K Bikhri Aaj Kisi Ki Be Emaani Mein.........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo