masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai


masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai

kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai

awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai

kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko

ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai

phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai


Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai
    kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai
    kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai
    awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai
    us paar utarne ki umeed bahot kam hai
    kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai
    Diwangi ki had aaj phir apni ki zid par hai
    phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai

    BY: Dharmendra Gupta

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha