Ghiste Ghiste Pa'oon Main Zanjeer Aadhi Reh Ga'ee, Mar Ga'ye Par, Qabar Ki Ta'meer Aadhi Reh Ga'ee,

Khamsaa Bar Ghazal


Poet: Bahadur Shah

Zafar & Ghalib


Type By

*._.Murtaza._*


Ghiste Ghiste Pa'oon

Main Zanjeer Aadhi

Reh Ga'ee,


Mar Ga'ye Par, Qabar

Ki Ta'meer Aadhi Reh

Ga'ee,


Sub Hi Parrhta, Kash!

Kyun Takbeer Aadhi

Reh Ga'ee,


'Kheench Ke' Qaatil!

Jab Teri Shamsheer

Aadhi Reh Ga'ee,


Gham Se, Jaan-E-

Aashiq-E-Dilgeer,

Aadhi Reh Ga'ee,


Baith Rehta, Le Ke

Chasham-E-Purnam,

Us Ke Ru Ba Roo,


Kyun Kaha Tu Ne Ke

Kaha, Dil Ka Gham Us

Ke Ru Ba Roo,


Baat Karne Main,

Nikalta Hai Dam, Us

Ke Ru Ba Roo,


Keh Sake Saari

Haqeeqat Hum Na Us

Ke Ru Ba Roo,


Hum Nasheen! Aadhi

Hui Taqdeer, Aadhi

Reh Ga'ee,


Tu Ne Daikha, Mujh

Pe Kaisi Ban Ga'ee, Ae

Raazdar!


Khawab-O-Bedari Pe

Kab Hai Aadmi Ka

Ikhtiar!


Masl-E-Zakham

Aankhon Ko See Daita

Jo Hota Hoshiar,


Kheenchta Tha, Raat

Ko Main Khawab Main

Tassveer-E-Yaar,


Jaag Utha, Jo

Kheenchni Tassveer

Aadhi Reh Ga'ee,


Gham Ne Jab Gheraa,

Toh Chaha Hum Ne

Yoon, Ae Dil Nawaz!


Massti-E-Chasham-E-

Siaa Se Chal Ke

Hovain Charaah Saaz,


Tu Sada-E-Paa Se

Jagta Tha Jo, Mehv-E-

Khawab-E-Naaz!


Daikhte Hi, Ae

Sitamgar! Teri

Chasham-E-Neem Baaz,


Ki Thi Poor Hum Ne Jo

Tadbeer Aadhi Reh

Ga'ee,


Us Butt-E-Maghroor

Ko Kia Ho Saki Pur

Altafaat!


Jis Ke Hussan-E-Rooz

Afzoon Ki Yeh Ik

Adna Hai Baat,


Maah-E-Nu Nikle Pe

Guzri Hongi Raatain

Paan Saat,


Us Rukh-E-Roshan Ke

Aage Maah-E-Yak

Hafta Ki Raat,


Tabish-E-Khurshed-E-

Pur Tanveer Aadhi

Reh Ga'ee,


Taa Mujhe Pohncha'e

Kahish, Bakhat-E-Bad

Hai Ghaat Main,


Haan Faravaani Agar

Kuch Hai, Toh Hai

Aafat Main,


Juz Gham-O-Ranj-O-

Alam, Ghaata Hai Har

Aik Baat Main,


Kam Nasseebi Es Ko

Kehte Hain, Ke Mere

Haath Main,


Aate Hi, Khaasiyat,

Akseer Aadhi Reh

Ga'ee,


Sub Se Yeh Goshaa

Kinaar Hai, Galle Lag

Ja Mere,


Aadmi Ko Kyun

Pukare Hai, Galle Lag

Ja Mere,


Sar-E-Gar Chaadar

Utaare Hai, Galle Lag

Ja Mere,


Maang Kia Baitha

Sanvaare Hai, Galle

Lag Ja Mere,


Wasal Ki Shab, Ae

Butt-E-Be Peer Aadhi

Reh Ga'ee,


Main Yeh Kia Jaanon,

Ke Woh Kis Waaste

Hoon Phir Ga'ye,


Par Nasseeb Apna,

Unhain Jata Suna,

Joon Phir Ga'ye,


Daikhna Qismat, Woh

Aa'ye Aur Phir Yoon

Phir Ga'ye?


Kia Kashash Main Dil

Ki Ab Ta'seer Aadhi

Reh Ga'ee,


Na Gahaan Yaad Aa

Ga'ee Hai Mujh Ko, Ya

Rab! Kab Ki Taab,


Kuch Nahi Kehta Kisi

Se, Sun Raha Hoon

Sab Ki Baat,


Kis Liye Tujh Se

Chupa'oon Haan, Woh

Parsoon Shab Ki Baat!


Namaa Bar Jaldi Main

Teri, Woh Jo Thi

Matlab Ki Baat,


Khatt Main Aadhi Ho

Saki Tehreer Aadhi

Reh Ga'ee,


Ho Tajlli Barq Ki

Soorat Main, Hai Yeh

Bhi Ghazab,


Haan 6 Ghante Ki Toh

Hoti, Fursat-E-Aesh-O-

Tarab,


Sham Se Aate, Toh

Kia Achi Guzarti Raat

Sab,


Paas Mere Woh Jo

Aa'ye Bhi, Toh Baad

Az Nasaf Shab,


Nikli Aadhi Hassrat,

Ae Taqdeer! Aadhi

Reh Ga'ee,


Tum Jo Farmaate Ho,

Daikh, Ae GHALIB

Aashftaa Sar!


Hum Na Tujh Ko Mana

Karte Thay, Gaya

Kyun Us Ke Ghar ?


Jaan Ke Pa'oon

Amaan Baatain Yeh

Sab Such Hain, Magar,


Dil Ne Ki Saari Kharabi

Le Gaya Mujh Ko ZAFAR,


Wahan Ke Jane Main

Meri Tauqeer Aadhi

Reh Ga'ee....................!


Book Name

Deewan-E-Ghalib

Page No 307-308-309

310


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo