har qadam par nit naye sanche mein dhal jate hain log dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log


har qadam par nit naye sanche mein dhal jate hain log

dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log

kis liye kije kisi gumgashta jannat ke talash

jab k matti ke khilone se bahal jate hain log

kitnay sada dil hain ab bhi sun ke aavaz-e-jaras

pesh-o-pas se bekhabar, ghar se nikal jatay hain log

shama ke manind aehal-e-anjuman se beniyaz

aksar apni aag mein chup-chap jal jate hain log

‘shayar’ un ke dosti ka ab bhi dam bharate hain aap

thokaren kha kar to, sunatay hain, sambhal jate hain log

HAMAYAT ALI SHAAIR


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo