Muhabbat Aos Ki Soorat Piyasi Pankhrri Ke Hont Seraab Karti Hai Gulon Ki Aasteenon Mein Anokhay Rang Bharti Hai



Poet:Amjad Islam Amjad
MUHABBAT
Muhabbat Aos Ki Soorat
Piyasi Pankhrri Ke Hont Seraab Karti Hai
Gulon Ki Aasteenon Mein Anokhay Rang Bharti Hai
Sahar Ke Jhatpatay Mein Gungunati,Muskurati,Jagmagati Hai
Muhabbat Ke Dinon Mein Dasht Bhi Mahsoos Hota Hai
Kisi Firdos Ki Soorat!
Muhabbat Aos Ki Soorat!
MUHABBAT ABAR KI SOORAT
Dilon Ki Sarzameen Pe Gir K Aati Aur Barasti Hai
Chaman Ka Zara Zara Chhomta Hai Muskurata Hai
Azal Ki Be-Namo Mitti Mein Sabza Sar Uthata Hai
Muhabbat Un Ko Bhi Aabaad Aur Shadaab Karti Hai
Jo Dil Hain Qabar Ki Soorat!
Muhabbat Abar Ki Soorat!
MUHABBAT AAG KI SOORAT
Bhuje Seenon Mein Jalti Hai To Dil Bedaar Hote Hain
Muhabbat Ki Tapash Mein Kuch Ajab Israr Hote Hain
Keh Jitna Ye Dahakti Hai Uroos-e-Jaan Mehikti Hai
Dilon K Sahilon Pe Jama Hoti Aur Bikharti Hai
Muhabbat Jhaag Ki Soorat!
Muhabbat Aag Ki Soorat!
MUHABBAT KHUWAAB KI SOORAT
Nigahon Mein Utarti Hai Kisi Mehtaab Ki Soorat
Sitare Aarzoo K Is Tarah Se Jagmagatay Hain
Keh Pehchani Nahi Jati Dil-e-Be-Taab Ki Soorat!
Muhabbat K Shajar Pe Khuwaab K Panchi Utartay Hain
To Shakhain Jaag Uthti Hain
Thakay Haare Sitare Jab Zameen Se Baat Karte Hain
To Kab Ki Muntazir Aankhon Mein Shama'ain Jaag Uthti Hain
Muhabbat Un Mein Jalti Hai Chiraagh-e-Aab Ki Soorat
Muhabbat Khuwaab Ki Soorat!
MUHABBAT DARD KI SOORAT
Guzishta Mosamon Ka Istea'ara Ban K Rehti Hai
Mandair Par Chiraghon Ki Luwein Jab Thar Tharati Hain
Nagar Mein Na-Umeedi Ki Hawaein Sunsanati Hain
Gali Mein Jab Koi Aahat Koi Saaya Nahi Rehta
Dukhay Dil K Liye Jab Koi Bhi Dhoka Nahi Rehta
Ghamon K Bojh Se Jab Tootnay Lagtay Hain Shaane To
Ye Un Pe Haath Rakhti Hai
Kisi Hamdard Ki Soorat!
Guzar Jate Hain Saare Qaflay
Jab Dil Ki Basti Se
Fiza Mein Tairti Hai Dair Tak
Ye Gard Ki Soorat
Muhabbat Dard Ki Soorat!
Muhabbat Piyaas Ki Soorat!
Muhabbat Aag Ki Soorat!
Muhabbat Aas Ki Soorat

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo