Palkain Na Jhapakni Thein Ke Guftaar Ajab Thi, Aankhon Ke Liye Saa'at-E-Deedar Ajab Thi,


Poetess: Parveen Shakir

Type By
*._.Murtaza._*

Palkain Na Jhapakni
Thein Ke Guftaar Ajab
Thi,

Aankhon Ke Liye
Saa'at-E-Deedar Ajab
Thi,

Khamosh Thay Lab,
Soorat-E-Iqraar Ajab
Thi,

Kia Kehte Safaa'ee
Main Ke Sarkaar Ajab
Thi,

Phir Jamne Lage
Daikh, Mere Pa'oon
Zameen Par,

Gurbat Main Tere
Shehar Ki Deewar
Ajab Thi,

Imkaan-E-Bahaaran
Se Bhi Dil Katne Laga
Tha,

Aur Barg-E-Tamanaa
Bhi Kuch Dhaar Ajab
Thi,

Sehra Main Palat Ke
Main Kise Daikhti
Lekin,

Aawaz See Ik
Zamzamaa Aasar
Ajab Thi,

Jhukti Hi Ga'ee Ze'am
Main Deewar Ke Us
Paar,

Taqder Teri Shakh-E-
Samardaar Ajab Thi,

Ik Lamha-E-Paraan Ki
Bhi Qeemat Nahi
Chorri,

Yeh Sultant-E-
Darham-O-Deenaar
Ajab Thi,

Dastaar Ke Ball Gin Ke
Jahan Milti Ho Izzat,

Us Shehar Main
Tauqeer-E-Sukhan
Kaar Ajab Thi............!

Book Name
Sad Barg
Page No 180-181


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo