Taj tere liye ek mazar-e-ulfat hi sahi Tujhko is waadi-e-rangeen se aqidat hi sahi


Taj tere liye ek mazar-e-ulfat hi sahi

Tujhko is waadi-e-rangeen se aqidat hi sahi

Meri mehboob kahein aur mila kar mujhko

Bazm-e-shaahi me gareebon ka guzar kya maani

Naqsh jis raah pe hon satwat-e-shaahi ke nishaan

Us pe ulfat bhari roohon ka safar kya maani

Ye chamanzar, ye Jamna ka Kinara, ye mahal

Ye munaqqash dar-o-deewar, Ye mehrab, ye taq,

Ek Shahenshah ne daulat Ka sahara le kar,

Hum gharibon ki muhabbat, Ka Urraya hai mazaq

Mere Mehboob Kahin aur Mila Kar Mujhse


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo