Chaman Ho Chaand Ho Aur Baadaloon K Saye Hon


خواب ۓ سراب

شاعر اسلم کولسری

انتخاب
عروسہ ایمان

چمن ہو
چاند ہو
اور بادلوں کے ساۓ ہوں
مرے حواس میں جلوے ترے سماۓ ہوں
مہکتے پھول ہوں
اور ان میں کھیلتے جگنو
پجاریوں کی طرح اپنے پاس آۓ ہوں
پھر اس کے بعد حسیں جگنوؤں نے ہنس ہنس کر
ہمارے گرد کئی دائرے بناۓ ہوں
کواڑ کانپ اٹھے ہیں
یہ کس نے دستک دی
کہیں ہواۓ شب ۓ غم کے باؤلے جھونکے
مرے لیے کوئی مہلک خبر نہ لاۓ ہوں

 

Poet Aslam Kolsari

Chaman Ho
Chaand Ho

Aur Baadaloon K Saye Hon

Mere Hawaas Mein Jalwe Tare Samaaye Hon

Mehakte Phool Hon

Aur Un Mein Khelte Jugnoo

Pujaariyoon Ki Tarah Apne Pas Aaye Hon

Phir Us Bad Haseen Jugmoowoon Ne Hans Hans Kar

Hamare Gard Kai Daaire Banaye Hon

Kawaarr Kanp Uthe Hain

Ye Kis Ne Dastak Di?

Kahein Hawaa-E-Shab-E-Gham K Baawole Jhonke

Mere Liye Koi Mehlak Khabar Na Laye Hon.........................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo