Nazar me kaif na tha,, dil me aks-e-yaar na tha Mera junoo'n kbhii sharminda-e-bahaar na tha


Nazar me kaif na tha,, dil me aks-e-yaar na tha
Mera junoo'n kbhii sharminda-e-bahaar na tha

Ye waaqeya hai k gulshan me phool khilte rahe
Ye haadsa hai k daaman me koi khaar na tha

Khata muaaf,,,, main sheesho'n ki teh me doob gya
Mujhe huzoor ki aankho'n pe aitbaar na tha

Ameer-e-sheher ne ilzaam dhar diye warna
Ghareeb-e-sheher kuchh itna gunaah-gaar na tha

Hm unke chaak girebaa'n ko kya rafoo krte
Hme khud apne girebaa'n pe ikhtiyaar na tha

Main sochta hun bhala kis tarah se guzrii hai
Wo ek shab k tumhara bhi intezaar na tha

Mujhe fizaa-e-chaman raas hi na thi MOHSIN
K nikhato'n ka safar itna khushgawaar na tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo