Chhoot Kar Haath Se Girnaa Mere Pemaane Ka, Badaah Noshoon Main Hai Ik Haadsa May Khaane Ka


Peer Nasseer-UL-Deen Nasseer Gillani
Type By
*._.Murtaza._*
Chhoot Kar Haath Se
Girnaa Mere Pemaane
Ka,
Badaah Noshoon Main
Hai Ik Haadsa May
Khaane Ka,
Mil Gaya Souz Mere
Qalb Ko Parwaane Ka,
Lutif Ab Aa'ega Us
Shamaa Pe Jall Jaane
Ka,
Loog Aaghaaz Karain
Toh, Tere Afsaane Ka,
Kon Kehta Hai Mujhe
Hosh Nahi Aane Ka,
Aap Ka Naam Lia Aur
Jhukaa Li Gardan,
Mashgala Ab Hai Yahi
Aap Ke Deewane Ka,
Kia Lagaa'e Koi
Qeemat Mere Toote
Dil Ki,
Koi Pursaan Nahi
Chatkhe Hue Pemane
Ka,
Be Pee'ye Aalam-E-
Massti Main Raha
Karta Hoon,
Meri Hassti Bhi Ajab
Raaz Hai Maykhaane
Ka,
Bujh Ga'ee, Noor Se
Be Noor Hui Mehfil
Main,
Subha Dam Shama Ne
Maatam Kia Parvaane
Ka,
Aaj SAQI Ne Pila Di
Hai Kuch Aisi Mujh Ko,
Har Taraf Aks Nazar
Aata Hai Maykhaane
Ka,
Us Ne Daikha Mujhe,
Phir Daikh Ke Tevar
Badle,
Yeh Nayaa Dhang
Nikala Mere Tarrpane
Ka,
Yaad Rakh Ae Dil-E-
Pur Shauq! Yeh Ik
Baat Meri,
Daaman Un Ka Jo
Chhuta, Phir Nahi
Haath Aane Ka,
Koi Moonas Nahi,
Saathi Nahi Gham
Khawaar Nahi,
Sakht Dushman Hai
Zamaane Tere
Deewane Ka,
Hum Bhi Daikhenge
NASSEER Aap Ki Toba
Hai Kahan,
Chal Gaya Waar Jo
Chalte Hue Pemaane
Ka....................!
Book Name
Dast-E-Nazar

Page 55-56

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo