Sitam ko maslehat,, husn-e-taghaful ko adaa kehna... Use ab aor kya likhna,, use ab aor kya kehna


Sitam ko maslehat,, husn-e-taghaful ko adaa kehna...
Use ab aor kya likhna,, use ab aor kya kehna...??

Ye rasm-e-sheher-e-na-pursaa'n,, hmare dam se qaaim hai...
K har ek ajnabii ko muskurakar aashna kehna...

Safar me yun azaab-e-tishnagii aankho'n me bhar lena...
Chamaktii rett ko dariya,, bagoley ko ghata kehna...

Hazaaro'n haadse tujhpr,, Qayaamat ban k toote hain...
Tu us pr bhi salaamat hai,, dil-e-khush-fehm kya kehna...!

Dil-e-be-mudda'a ko be-talab jeene ki aadat hai...
Mujhe achha nhii lagta,, dua ko iltejaa kehna...

Mere MOHSIN ye aadaab-e-musaafat seekhne honge...
Bhatakte jugnuo'n ko bhi,, safar ka aasra kehna...!!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo