Umar Jaluon Me Basar Ho Ye Zarori To Nahi Har Shab-e-Gham Ki Sahar Ho Ye Zarori To Nahi


Umar Jaluon Me Basar Ho Ye Zarori To Nahi
Har Shab-e-Gham Ki Sahar Ho Ye Zarori To Nahi
Chishm-e-Saaqi Se Pio Ya Lab-e-Saghar Se Pio
Be-Khudi Athon Pehar Ho Ye Zarori To Nahi
Neend To Dard K Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai 
Unki Aghosh Mein Sar Ho Ye Zarori To Nahi
Sheikh Karta To Hai Masjid Mein Khuda Ko Sajday
Uskey Sajdon Mein Asar Ho Ye Zarori To Nahi
Sab Ki Nazron Mein Ho Saaqi Ye Zarori Hai Magar
 Sab Pe Saaqi Ki Nazar Ho Ye Zarori To Nahi
(Khamosh Dehlavi) 

عمر جلووں میں بسر ہو یہ ضروری تو نہیں
ہر شبِ غم کی سحر ہو ضروری تو نہیں
چشمِ ساقی سے پیو یا لبِ ساغر سے پیو
بے خودی آٹھوں پہر ہو یہ ضروری تو نہیں
نیند تو درد کے بستر پہ بھی آ سکتی ہے
اُن کی آغوش میں سر ہو یہ ضروری تو نہیں
شیخ کرتا تو ہے مسجد میں خدا کو سجدے
اُس کے سجدوں میں اثر ہو یہ ضروری تو نہیں
سب کی نظروں میں ہو ساقی یہ ضروری ہے مگر---
سب پہ ساقی کی نظر ہو یہ ضروری تو نہیں
کلام : خاموش دہلوی

2 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo