Laakh zabt-e-khwahish kay Be'shumaar daaway hon Us ko bhuul janay kay Be'panaah iraday hon


Laakh zabt-e-khwahish kay
Be'shumaar daaway hon
Us ko bhuul janay kay
Be'panaah iraday hon
Aur is muhabbat ko tark kar kay
Jeenay ka faisla sunaanay ko
Kitnay lafz sochay hon
Dil ko us ki aahat par
Bar'mala dhraknay say
Kon rok sakta hai?
Phir wafa kay sehra men
Us kay narm lehjay
Aur
Sogwaar aankhon ki
Khushbuon ko chhunay ki
Justaju men rehnay say
Rooh tak pighalnay say
Nangay paaon chalnay say
Kon rok sakta hai?
Aansuon ki barish men
Chahay dil kay haathon men
Hijar kay musafir kay
Paaon tak bhi chhuu aao
Jis ko laut jana ho
Us ko door janay say
Rasta badalnay say
Door ja nikalnay say
Kon rok sakta hai?

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo