Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur


Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur

Kyon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar
aey kaash ki hoti meri gehraai zara aur

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur

Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur

Kyon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur

Ladna wahin dushman se jahan gher sako tum
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur

Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale
ho jaaye agar shehar mein mehngaai zara aur

Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein
kuchh der ko bajne do ye shehnaai zara aur...!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo